Monday, August 17, 2009

Suni Suni Si Lakiron Per….

ღ--ღ--ღ--ღ--ღ--ღ--ღ--ღ--ღ--ღ--ღ--ღ-
-ღ--ღ--ღ--ღ--ღ--ღ--ღ--ღ--ღ--ღ--ღ--ღ-


Jab Kabhi Dekhu Haath ki Hatheliyon Ko
To Khaali Ye Nazar Aati Hain….
Suni Suni Si Lakiron Per….
Taqdeer Sunaati Apni Kahani Hai..

Poochhti hai Fasana Mujhe Se hi……
Meri Tanha Zindagaani Kaa…..
Hothon Se To Hass Deta Hu….
Par Aankhen Sach Bahaati Hain….

Kabhi Yunhi nikal padta hu..
Tanhaahiyo Key Saath Apni..
Aur Saath Hi Khaamoshiyaan Bhi
Perchhaaiyo Mein Nazar Aati Hai..

Har Pal Bebas Hai….
Intezaar Mein Jiske….
Woh To Ab Tak …Anjaan Hi Hai..
Ki intzaar Mein Kisi ke..
Jaan Aaj Bhi Kisi Ki Jaati Hai…

Umeedon Se Naata To Bahut
Pahle Hi Chhut Chuka Tha…
Dhuli Dhoop Mein Dekhta Tha
Jo Chehra Kabhi ……….
Ab To Sapne Mein Maayusi Hi Nazar Aati Hai…

-ღ--ღ--ღ--ღ--ღ--ღ--ღ--ღ--ღ--ღ--ღ--ღ-
-ღ--ღ--ღ--ღ--ღ--ღ--ღ--ღ--ღ--ღ--ღ--ღ-




No comments:

Post a Comment