All about Saraaj Hasan ...!!!

Post Top Ad

Tuesday, August 18, 2009


kahan aa ke rookne the raaste, kahan mod tha ,use bhool jaa

jo mil gaya use yaad rakh, jo nahi mila, use bhool jaa

woh tere naseeb ki baarishein kisi aur chhat pe baras gayi

dil-e-be-khabar meri baat maan sun, use bool jaa, use bhool jaa

main to gum thi tere hi dhyan mein, teri aas tere gumdan mein

saba keh gayi mere kaan mein, mere paas aa, use bhool jaa

kisi ki aankh mein nahi ashq-e-hum, tere baad khuch bhi nahi hai kam

tujhe zindagi ne bhoola diya, tu bhi muskura ke, use bhool jaa

na woh aankh hi teri aankh thi, na waoh khwaab hi tere khwaab the

dil-e-muntazir to yeh kis liye tera jaagna, use bhool jaa

yeh jo raat din ka hai khel sa, use dekh ispe yakin na kar

nahi aqs koi bhi mustaqil sar-e-aaina, use bhool jaa

jo bisaath-e-jaan hi ulat gaya, woh jo raaste mein palat gaya

use rokne se hasil kya, use mat bula, use bhool jaa.

No comments:

Post a Comment