Main aaj 15 august 2009 lagbhag, 5 pm ke aas paas,
un galiyon mein ek baar phir gaya, jin galiyon se pata
nahi kab ka mera naata khatam ho chuk hai, naki un
galiyon mein gaya, balki us kamre mein bhi gaya jo ki
kabhi mera hua karta tha.. apne usi bistar pe main leta
tha.. aur wahi baaten soch raha tha jo aksar socha
karta tha.. uska khyaal baar baar mann mein aa raha
tha ki, kaisi hogi wo, main yaad bhi hu ya nahi.... aur
pata nahi kya kya, tabhi, mere window ke paas ek
sarsaraahat hui, aur wo aawaaz mujhe sunaai di,
jisko suune ke liye mere kaan bechain rahte they..
but is baar us aawaaz mein kashish kam, aur ek anjaan
rishte ki jhalak sunaai de rahi thi..wo laal dress mein
bahut khubsoorat lag rahi thi, thodi moti ho gayi thi, but
wo halki halki muskan , bhulaaye nahi bhul paa raha
main, jo us waqt uske khubsoorat honthon pe they..
uske god mein ek bacha tha,pyaara sa.. bilkool uski
tarah...aur wo us bache se kah rahi thi,"beta, chalo
apne pa se mil lo..", mujhe nahi pata, par wo na jaane
kyun mujhe us bache ki pa bula rahi thi, but ye samajh
aa gaya ki, wo us baachi ki maa hai, ohh to wo mammi
bhi bann gayi, how sweet but sad naa.... mujhe kuchh
samajh na aaya... main kuchh puchhta us se pahle woh
hi poochh baithi... "kaise ho aap?".. main kya kahta, maine
bhi sawaal hi kiya,"meri chhodo, tum kaisi ho ye to bataao,
kitne din baad mile hain hum naa" wo bas itna hi boli,
"main thik hu".... phir maine wo sawaal kiya, jo shaayad
nahi karna tha.."aur tumhare Mr. kaise hain".. wo
shaayad ue sawaal except nahi kar paai, so boli,
"mujhse kyun poochh rahe ho, khud jaakar us se poochho
naa..!" main kya kahta, maine kaha,"main kaise, main to
usko jaanta bhi nahi, kabhi mila bhi nahi hu, us se... khair..
ye bataao ki tum khush to ho naa..." wo kuchh boli to nahi,
bas sir hilaakar boli, "hmmmm...".. pata nahi, kyun, maine
dhir se uska haath pakad kar dobara kah, "Tell me truth..." ,
kuchh der wo khaamosh rahi...phir ekdam se wo ro baithi..
aur uski rone ki aawaaz hunjne lagi, mere kaano, mein
mere zahan mein..... aur tabhi meri aankh khul gayi.......
Ohhh to ye ek khwaab tha.. kitne din baad aai wo mere
khwaab mein, but last time ki tarah hi rote huey, aur
adhure khwaab dekar hi chali bhi gayi.... par is khwaab ki
haqeeqat kya hai, ... kya hai haqeeqat.....??

-ღ--ღ--ღ--ღ--ღ--ღ--ღ--ღ--ღ--ღ--ღ--ღ--ღ--ღ--ღ--ღ--ღ--
No comments:
Post a Comment