Tuesday, August 18, 2009

When I was fall in love...!!

================================================
Mere tanhaaiyon ki khaamosh raaton mein, mere dil ka haseen chand, mere khyaalon aur khwaabon mein apni dilkash chaandni bikherne aa gaya hai.. Mere dil ke gose gose mein chandni chham chham naach rahi hai. chham chhamaati hui chaandni mere ehsaas aur dil par padi chaahat ko sarkaakar maushiqui ki barsaat kar rahi hai,jinmein aarzoo, armaan aur khwaabon ki boondein hain..!!

Shaukh hawaa ke chanchal jhonke ki tarah woh jab bhi mere qareeb se guzarti hai, mere nazron ki betaabi badh jaati hai. main aalam-e-bekhudi mein aage badhne ki behad koshish karta hoon, par ek anjaani si taaqat mujhe aage badhne se rok deti hai. main kuchh bhi nahi kar paata , siwaaye usko chhupkar dekhne ke. woh meri aankhon se utarkar meri rooh mein samaa chuki hai. har haseen chechra mujhe uske saamne fikaa nazar aata hai. kisi aur ko dekhna main gawaara nahi karta, aisa lagta hai jaise main koi sangeen jurm kar raha hoon.. aakhir main kyaa karoon........?

Usko dekhkar meri zabaan gung ho jaati hai, honth hilte hain magar bol nahi milte hain, naa jaane ye meri kaisi kamzori hai...kahin is kamzori ka naam mohabbat......

kaash ki koi usko jaakar bataaye ki uske pariyon jaisi sundar kaaya ko dil mein basaaye aur aankhon mein chhupaaye uski hasrat mein ek deewaana kitna tadap raha hai.

Jab bhi main sochta hoon, to mujhe yakin nahi hota ki, kya ye wahi hai jo... jo ek natkhat gudiya ki tarah chanchal mann liye idhar se udhar ghumaa karti thi, baat baat pe moonh laga karti thi, baat baat pe kaan khinchna, moonh bichkaana, ajeeb ajeeb sharaaratein karna... kya isi ladki ki aadatein thi...

Waqt ne itni jaldi karwat li ki wo chhoti si gudiya ab kahin hai hi nahi. wo chhoti si gudiya ab badi ho gayi hai, aur ek haseen gudiya ban gayi hai, jo ab idhar udhar kahin nazar nahi aati hai.. jis se main ghanto baatein kiya karta tha, usi se main ab apna haal-e-dil suna paane ki himmat nahi juta paa raha hoon.uski ek jhalak ka ghanto intezaar karta hoon. jab kabhi wo nazar aati hai to nazaren uski jheel si khubsoorat aankhon mein hi thahar jaati hai. waqt tham sa jaata hai, dil ku dhadkanein is qadar badh jaati hai ki, achaanak kahin ruk jaaye to dum hi nikal jaaye.Mann hi mann to bahut himmat jutaa leta hoon, ki aaj usko apni khaamosh nigaahon se hi haal-e-dil kah dungaa, lekin us se nazarein milte hi , dil mein na jaane kaisi hulchal hone lagti hai ki meri nigaahein kuchh bhi nahi kah paati hain.
Aur uspe bhi qayamat , dhire se uska muskuraana, uski ek muskuraahat mere dil pe ek saath naa jaane kitni chhuriyaan chalaati hain aur dil bechaara bas ghaayal hokar rah jaata hai.lekin dil agle hi pal maayus ho jaata hai, jab wo apani muskuraahat liye yun hi ojhal ho jaati hai, jaise suraj ki kiran padte hi shabnam ke narm komal daanein.

Uske jaane ke baad main bas yahi sochta rah jaata hoon ki, main us se kuchh kahta kyun nahi.... kyun nahi kahta kuchh bhi... shaayad................. shaayad "Inkaar" se darta hoon.
===================================================

1 comment:

  1. Wowww!!...You've Truly left me "SPELLBOUND"!!...
    Such amazing thoughts you've ...!
    :)
    Truly awesome blossom yaa..!!

    ReplyDelete